Dil toh bahut kuch karna chahta hai, bahut sare armaan hain ismein. Par kabhi yeh is wahah se kabhi us wajah se kuch kar hi nahin pata. Sabse badi museebat toh yeh hai ki kya kaheinge log. Yeh museebat bhi mujhe nahin mere aas pass wale logon ko hai, ki unko kya koi kahega mere liye. Ab hamare zindagi doosron ke nazariye ki mauhtaaj ho gaye hai. Hamara desh toh 63 saal pehle azaad ho gaya but main aaj bhi ghulam hi hoon aur woh bhi logon ke nazariye ki. Kuch karna chaho toh pehli salah yahi hoti hai ki yeh theek nahin hai. Tum abhi samajhdar nahin ho, bhai ab ek 21 saal ka insaan itna bevakoof hota hai kya.Agar hamein akal hi nahin hum bevakoof hai toh pagalkhane mein bharti karwao. Kam se kam wahan toh apna pagalpan dikhane ki azaadi hogi. Pehle kehte the yahan mat khelo, phir hua yahan mat jao, phir yeh padhai karo aur ab isse pyar mat karo. Desh azaad ho gaya but soch azaad nahin hue. Arey bhai hum insaan se pyaar karte hain ya phir uski caste se agar itni hi chinta hai is sabki toh sabke mathon ke gudhwado na ki hum yeh caste ke hain.
Pyar kar liya toh ho gaye museebat, poochte hain ki tumhein yeh sab gande kaam karne hote hain, doosre caste mein kyun. Arey yaar pasand karne se pehle uski caste confirm nahin ki thi maine SORRY galati ho gaye. Kehte hain hum bahut hi open minded aur modern soch wale hain, hamara desh bahut aage nikal gaya hai. Par hamare soch ka bhaar itna zyada tha ki woh peeche hi reh gaye. Kaash hamare soch ka bojh thoda kam ho pata. Pata nahin is ghatiya soch ke bhaar ke neeche kitne wishes ko aur kuchla jaega abhi. Dil ke armaan dil mein hi reh jaeinge lagta hai, kaash koi yeh sab samajh pata. Kassh Mere zindagi ke is golden period ko apni bekar soch ke neeche na dabaya jata. Khush ho sakte hum bhi kaash apni azaadi ko paake, thaam lete sabke samne uska haath hain jise itna chahte . Jee bhar ke use pyaar kar pate, agar hum bhi azaad hote. Magar marne nahin deinge in armaano ko dil mein hi hum, azaadi di nahin gaye toh cheen leinge hum.
Our Country has enough religion to make us fight but not enough to make us love each other.

Comments